dekhe use har aankh ka ye kaam nahin hai
kuchh khel tamasha-e-lab-e-baam nahin hai
main mo'tarif-e-jurm hun jo chaho saza do
ilzam-e-tamanna koi ilzam nahin hai
wo subh bhi hoti hai shab-e-tar se paida
jis ko KHatar-e-tirgi-e-sham nahin hai
jo dil hai wo labrez-e-tamanna hai 'mubarak'
is jam se achchha to koi jam nahin hai
Ghazal
Dekhe use har aankh ka ye kaam nahin hai
Mubarak Azimabadi