dekhe koi jo chaak-e-gareban ke par bhi
aaina-e-KHizan mein hai aks-e-bahaar bhi
ab har-nafas hai bhigi sadaon ki ek fasil
mauj-e-hawas thi gardish-e-lail-o-nahaar bhi
kya shorish-e-junun hai zara kam nahin hua
qurbat ke bawajud tera intizar bhi
kitni aqidaton ke jigar chaak ho gae
kya sehr tha shuur-e-nazar ka KHumar bhi
jo arsh-o-farsh par kabhi aaya nahin nazar
dekha hai us ko hum ne sar-e-rahguzar bhi
wo shor-e-husn tha dam-e-nazzara-e-jamal
hum sun sake na apne badan ki pukar bhi
'farigh' KHayal-e-yar se main ham-subu raha
guzri hai mai-kade mein shab-e-intizar bhi
Ghazal
Dekhe koi jo chaak-e-gareban ke par bhi
Farigh Bukhari