dekhe hain manazir jo idhar sham se pahle
din Dhalte badalti hai nazar sham se pahle
utre hain yahan dasht mein jo qafile aksar
kitne hain chale par KHizar sham se pahle
tabinda bahaaron ke nae rang liye to
meri bhi kabhi chhat pe utar sham se pahle
is dard-o-sitam ka nahin gham mujh ko sanam tu
hai aas ho ye KHatm safar sham se pahle
iflas se baDh kar nahin hota koi bhi dukh
is gham mein gire TuT ki dar sham se pahle
jo chhoD ke jate hain yahan beach bhanwar mein
khulte hain nahin un pe ye dar sham se pahle
bhaTke huon ki rahen to aksar hain hui gham
kab milte unhen apne hi ghar sham se pahle
TuTi hui ab shaKHon ko ye dekh ki 'mariyam'
han phuT ke rote hain shajar sham se pahle
Ghazal
Dekhe hain manazir jo idhar sham se pahle
Maryam Naz