اردو हिंदी
Dekhe agar ye garmi-e-bazar aaftab | Shaahi Shayari
dekhe agar ye garmi-e-bazar aaftab

Ghazal

Dekhe agar ye garmi-e-bazar aaftab

Hasan Barelvi

;

dekhe agar ye garmi-e-bazar aaftab
sar bech kar ho tera KHaridar aaftab

wo husn-e-KHud-farosh agar be-naqab ho
mahtab mushtari ho KHaridar aaftab

poshida gesuon mein hua ru-epur-ziya
hai aaj mehman-e-shab-e-tar aaftab

us ki tajalliyon se kare kaun ham-sari
ho jis ke naqsh-e-pa se numudar aaftab

ahbab ko 'hasan' wo chamakti ghazal suna
har lafz se ho jis ke numudar aaftab