dekha to koi aur tha socha to koi aur
jab aa ke mila aur tha chaha to koi aur
us shaKHs ke chehre mein kai rang chhupe the
chup tha to koi aur tha bola to koi aur
do-chaar qadam par hi badalte hue dekha
Thahra to koi aur tha guzra to koi aur
tum jaan ke bhi us ko na pahchan sakoge
anjaane mein wo aur hai jaana to koi aur
uljhan mein hun kho dun ki use pa lun karun kya
khone pe wo kuchh aur hai paya to koi aur
dushman bhi hai hamraaz bhi anjaan bhi hai wo
kya 'ashk' ne samjha use wo tha to koi aur
Ghazal
Dekha to koi aur tha socha to koi aur
Ibrahim Ashk