اردو हिंदी
Dekha palaT ke jab bhi to phaila ghubar tha | Shaahi Shayari
dekha palaT ke jab bhi to phaila ghubar tha

Ghazal

Dekha palaT ke jab bhi to phaila ghubar tha

Farah iqbal

;

dekha palaT ke jab bhi to phaila ghubar tha
kuchh aansuon ki dhund thi ujDa dayar tha

yaadon ke aaine mein hain ab bhi basi hui
aankhen ki jin mein munjamid ek intizar tha

rishton ki Dor hath se chhuTi thi is liye
daman jo bad-gumaniyon se tar tar tha

kaisi thi mai jo aankh se tu ne pilai thi
meri ragon mein aaj tak us ka KHumar tha

TuTa koi sitara tha ya KHwab-e-arzu
tair qafas mein raat bahut be-qarar tha

dhundla diye the jis ne sabhi aaine yahan
mere hi ghar se uTTha wo gard-o-ghubar tha