اردو हिंदी
Dekha nahin jata hai magar dekh rahe hain | Shaahi Shayari
dekha nahin jata hai magar dekh rahe hain

Ghazal

Dekha nahin jata hai magar dekh rahe hain

Talib Baghpati

;

dekha nahin jata hai magar dekh rahe hain
hum himmat-e-arbab-e-nazar dekh rahe hain

har shaKHs samajhta hai udhar dekh rahe hain
hum dekh rahe hain wo jidhar dekh rahe hain

ye kis ne nazar bhar ke unhen dekh liya hai
har samt wo aashufta-nazar dekh rahe hain

dil khinch raha hai koi ai dida-e-hairan
kya dekh raha hai wo udhar dekh rahe hain

chashmak hai sitaron mein hua ru-e-qamar zard
kya KHwab wo hangam-e-sahar dekh rahe hain

allah re saqi teri madhosh nigahen
har chiz pe masti ka asar dekh rahe hain

mara jise ji chaha jise chaha jilaya
ye moajiza-e-husn-e-nazar dekh rahe hain

'talib' wo uThin phir ghalat-andaz nigahen
shayad wo mera zarf-e-nazar dekh rahe hain