اردو हिंदी
Dekha nahin dekhe hue manzar ke siwa kuchh | Shaahi Shayari
dekha nahin dekhe hue manzar ke siwa kuchh

Ghazal

Dekha nahin dekhe hue manzar ke siwa kuchh

Nashtar Khaanqahi

;

dekha nahin dekhe hue manzar ke siwa kuchh
hasil na hua sair-e-mukarrar ke siwa kuchh

muddat se hai mamura-e-bazar-e-ghariban
ye shahr na tha jis mein tere ghar ke siwa kuchh

kis haal mein us shoKH se wabasta hua dil
saughat mein dene ko nahin sar ke siwa kuchh

wo ghurfa-nashini hai na hai shahr-nawardi
baqi na raha hijr mein bistar ke siwa kuchh

phulon se badan Dubte dekhe gae akasr
is bahr mein tera nahin patthar ke siwa kuchh

karte bhi talab kya kya yahan dasht-e-ata mein
dene ko na tha jins-e-mayassar ke siwa kuchh