dekha nahin chand ne palaT kar
hum so gae KHwab se lipaT kar
ab dil mein wo sab kahan hai dekho
baghdad kahaniyon se haT kar
shayad ye shajar wahi ho jis par
dekho to zara waraq ulaT kar
ek KHauf-zada sa shaKHs ghar tak
pahuncha kai raston mein baT kar
kaghaz pe wo nazm khil uThi hai
ug aaya hai phir daraKHt kaT kar
'babar' ye parind thak gae the
baiThe hain jo KHak par simaT kar
Ghazal
Dekha nahin chand ne palaT kar
Idris Babar