dekha kuchh aaj yun kisi ghaflat-shiar ne
main apni umr-e-rafta ko dauDa pukarne
hangama-e-shabab ki ponchho na sar-guzasht
apne chaman ko luT liya KHud bahaar ne
paikan-e-tir zahr mein itne bujhe na the
kuchh aur kar diya hai nazar ko KHumar ne
tammat-ba-KHair dil ki shikayat ki dastan
honTon ko si diya nigah-e-sharmsar ne
himmat paDi na shaiKH se kahne ki mohtasib
aae ho ek gharib pe ghussa utarne
wo to kaho ki aai qafas tak bhi bu-e-gul
warna bhula diya tha hamein to bahaar ne
jo tang-e-gul the turra-e-dastar ban gae
jo gul the aae turbat-e-be-kas sanwarne
aae ho kya tumhin mujhe aawaz do zara
aankhon ka nur chhin liya intizar ne
aalam-e-rozgar se 'mulla' ko kya gharaz
apna bana liya hai use chashm-e-yar ne
Ghazal
Dekha kuchh aaj yun kisi ghaflat-shiar ne
Anand Narayan Mulla