اردو हिंदी
Dekha kisi ne humse zamane ne kya kiya | Shaahi Shayari
dekha kisi ne humse zamane ne kya kiya

Ghazal

Dekha kisi ne humse zamane ne kya kiya

Shaikh Zahuruddin Hatim

;

dekha kisi ne hum se zamane ne kya kiya
aur kya kahen ki yar yagane ne kya kiya

dil chahta hun aur ko dun tere jaur se
kahna na phir ki hum se fulane ne kya kiya

qatil to us ka har sar-e-mu baal-pan se tha
aaraish us ki zulf ko shane ne kya kiya

dinar aur diram ki na la dil ko dam mein
qarun se hai KHabar ki KHazane ne kya kiya

'hatim' diya hai shaiKH ne ab dil sanam ke hath
diwana main to tha ye siyane ne kya kiya