dekha kisi ka hum ne na aisa suna dimagh
in sang-dil buton ka hai allah kya dimagh
karta nahin tamiz sharif-o-razil mein
is charKH-e-pir ka hai magar phir gaya dimagh
dekhe bahut hain hum ne hasinan-e-pur-ghurur
lekin ajab tarah ka hai kuchh aap ka dimagh
kal jitna hum ne us ko mana ke banaya tha
utna hi aaj aur hai bigDa hua dimagh
jab honge pesh dawar-e-mahshar ke samne
hum dekh lenge aap ka roz-e-jaza dimagh
aaya nahin samajh mein ye ulTa moamla
ban ban ke kyun bigaDta hai ye aap ka dimagh
gul ki bahaar gulistan mein chand rose hai
achchha nahin hai is qadar ai mah-laqa dimagh
ai 'mashriqi' kabhi tha dimagh apna arsh par
hai aaj-kal to KHak mein apna mila dimagh
Ghazal
Dekha kisi ka humne na aisa suna dimagh
Sardar Genda Singh Mashriqi