dekha jo us taraf to badan par nazar gai
ek aag thi jo mere piyale mein bhar gai
un raston mein nam-o-nasab ka nishan na tha
hangama-e-bahaar mein KHilqat jidhar gai
ek dastan ab bhi sunate hain farsh o baam
wo kaun thi jo raqs ke aalam mein mar gai
itna qarib pa ke use dam-ba-KHud tha main
aisa laga zamin ki gardish Thahar gai
Ghazal
Dekha jo us taraf to badan par nazar gai
Sarvat Husain