dekha jo ek shaKHs ajab aan-ban ka
ek silsila sa rahta hai har-waqt dhyan ka
be-soche-samjhe ghar se jo yunhi nikal paDe
ab DhunDte hain saya kisi saeban ka
koi nahin hai aisa ki apna kahen jise
kaisa tilism TuTa hai apne guman ka
basti mein hain pa aise ki sab se juda hain hum
achchha tha KHabt hum ko bhi unche makan ka
mauj-e-nafas ke sath rahe rishta-e-ummid
dhaDka sa warna rahta hai har-waqt jaan ka
zalim KHuda se Dar kahin bijli na gir paDe
mushkil bahut hai girna agar aasman ka
jis ghar mein hanste khelte guzri hai ek umr
rishta bhi ab to yaad nahin us makan ka
nakaamiyon ko hum ne muqaddar bana liya
ab Dar nahin raha hai kisi imtihan ka
'nadir' wo kab balaon ko KHatir mein late hain
rakhte hain jo bhi hausla unchi uDan ka
Ghazal
Dekha jo ek shaKHs ajab aan-ban ka
Athar Nadir