dekha hai kahin rang-e-sahar waqt se pahle
shabnam na uga dida-e-tar waqt se pahle
ai taer-e-shab ru-kash-e-gul-bang-e-sahar ho
KHushbu nahin deta gul-e-tar waqt se pahle
wo husn-e-sarapa abhi be-parda kahan hai
kyun uTThe mohabbat ki nazar waqt se pahle
maujon ke jhakole hon ki tufan ke thapeDe
qatra kahin banta hai guhar waqt se pahle
ai KHana-bar-andaz-e-chaman thoDa tammul
milti nahin shaKH-e-gul-e-tar waqt se pahle
takmil-e-mohabbat ke liye chahiye ek umr
hota nahin maidan ye sar waqt se pahle
binai-e-naqis ka karishma hai ye 'turfa'
aibon mein nazar aaya hunar waqt se pahle
Ghazal
Dekha hai kahin rang-e-sahar waqt se pahle
Turfa Qureshi