dekha hai jis ne yar ke ruKHsar ki taraf
hargiz na jawe sair kun gulzar ki taraf
aaina-dil ki chashm mein nur jamal dost
raushan hua hai har dar-o-diwar ki taraf
manzur hai salamati-e-KHun agar tujhe
mat dekh us ki nargis-e-bimar ki taraf
wahan nahin baghair jauhar-e-shamshir KHun-baha
zahid na ja wo zalim-e-KHunKHar ki taraf
hai dil kun azm-e-chauk umid-e-visal par
diwana ka KHayal hai bazar ki taraf
kya puchhte ho tum ki tera dil kidhar gaya
dil ka makan kahan? yahi dildar ki taraf
parwana kun nahin hai magar KHauf-e-jaan 'siraj'
nahaq chala hai shola-e-didar ki taraf
Ghazal
Dekha hai jis ne yar ke ruKHsar ki taraf
Siraj Aurangabadi

