dekh ufuq ke pile-pan mein dur wo manzar Dub gaya
jaise kisi bimar ke ruKH par rang ubhar kar Dub gaya
jhuTi aas ke pankh laga kar sat samundar uD aaya
tere qurb ki KHushbu pa kar main sahil par Dub gaya
yaad ki ai saili diwaro ab ke aisa lagta hai
haal ki tughyani mein jaise mazi ka ghar Dub gaya
wo to apne qad se ziyaada sar-afaraaz-e-bazm hua
main gumnam zamana apni zat ke andar Dub gaya
us ke badan ke simin-pan ka ek tasawwur tha ki achanak
lams ne baDh kar Thokar khai chand chamak kar Dub gaya
Ghazal
Dekh ufuq ke pile-pan mein dur wo manzar Dub gaya
Raunaq Raza