dekh pai na mere sae mein chalta saya
aa gai raat uThane mera Dhalta saya
tum ne achchha hi kiya chhoD gae waise bhi
ek sae se bhala kaise sambhalta saya
main wahi hun mera saya bhi wahi hai ab tak
main badalta to koi rang badalta saya
main ne is waste munh kar liya suraj ki taraf
mujh se dekha na gaya aage nikalta saya
aaj bhi baiTha hun gum-sum pas-e-diwar-e-ana
mujh se lipTa hai teri yaad ka jalta saya
tujh pe guzri hi nahin wahshat-e-sham-e-hijran
tu ne dekha hi nahin peD nigalta saya
Ghazal
Dekh pai na mere sae mein chalta saya
Sajjad Baluch