dekh pae to kare koi pazirai bhi
main tamasha bhi hun aur us ka tamashai bhi
kaun samjhe meri aabaadi-o-virani ko
jhil ki sath pe kashti bhi hai aur kai bhi
qafas-e-wasl mein sab shor hamara to nahin
phaDphaData hai bahut tair-e-tanhai bhi
ab udasi kisi derina nashe ke manind
meri kamzori bhi hai aur tawanai bhi
kitni lahren thin jo mushtarka thin hum donon mein
so tere sath hui kam meri gahrai bhi
ab main kanon pe rakhun hath ki aankhon pe rakhun
shor itna hai ki le jaega binai bhi
bansuri ki wahi aawaz sunate hain mujhe
Dhol bhi piano bhi sarangi bhi shahnai bhi
main ne tohfe mein nae ranj ki chadar 'shaariq'
sirf lai hi nahin KHud use pahnai bhi
Ghazal
Dekh pae to kare koi pazirai bhi
Saeed Shariq