اردو हिंदी
Dekh o qatil basar karte hain kis mushkil se hum | Shaahi Shayari
dekh o qatil basar karte hain kis mushkil se hum

Ghazal

Dekh o qatil basar karte hain kis mushkil se hum

Naseem Dehlvi

;

dekh o qatil basar karte hain kis mushkil se hum
chaara-gar se dard nalan dard se dil dil se hum

hae kya be-KHud kiya hai ghaflat-e-ummid ne
haal-e-dil kahte hain apna phir usi qatil se hum

rashk aada ne kiye raushan badan mein ustuKHan
sham-e-mahfil ho ke uTThe aap ki mahfil se hum

is ko kahte hain wafadari ki baad az qatl bhi
dagh-e-KHun ho kar na chhuTe daman-e-qatil se hum

chashm-e-raushan se nazar aate hain jalwe ruh ke
husn-e-laila dekhte hain parda-e-mahmil se hum

KHali az ehsan nahin ye bhi ki waqt-e-iztirab
KHush to ho jate hain tere wada-e-baatil se hum

aao aapas mein samajh len ghair kahe ko sune
tum kaho dil se hamare kuchh tumhaare dil se hum

sun ke ro dete hain akasr surat-e-zaKHm-e-jigar
aap sharmate hain apne KHanda-e-baatil se hum

rashk hai hasrat pe us ki dil mein aata hai yahi
apne qalib ko badal len qalib-e-bismil se hum

sina-o-dil mein hujum-e-dagh-e-hasrat hai 'nasim'
phul chun lete hain apne gulshan-e-hasil se hum