dekh na paya jis paikar ko wadon ki angnai mein
DhunD raha hun us ka chehra KHwabon mein tanhai mein
kaise ho malum ye aaKHir purwai ke jhonkon ko
phulon par kya bit chuki hai shaKHon ki angDai mein
Dhalte suraj ki aaankhon ne aaKHir mujh ko DhunD liya
chhup na saka main bhi pipal ke sae ki lambai mein
pa kar teri sans ki aahaT dil yun machla jae hai
jaise shor machae gagar panghaT ki gahrai mein
har ek shaKHs ke aage karun kyun shikwe ki diwar khaDi
sirf ek tera hath hai mere lahje ki ruswai mein
'shaariq' Dal do aaankhon par tum apni palkon ka ye ghilaf
sara shahr pahunch gaya hai sannaTe ki khai mein
Ghazal
Dekh na paya jis paikar ko wadon ki angnai mein
Shariq Jamal