dekh mohan teri kamar ki taraf
phir gaya mani apne ghar ki taraf
jin ne dekhe tere lab-e-shirin
nazar us ki nahin shakar ki taraf
hai muhaal un ka dam mein aana
dil hai mail butan ka zar ki taraf
tere ruKHsar ki safai dekh
chashm dana ki nain guhar ki taraf
hain KHushamad-talab sab ahl-e-duwal
ghaur karte nain hunar ki taraf
mah-ru ne safar kiya hai jidhar
dil mera hai usi nagar ki taraf
hashr mein pak-baz hai 'naji'
bad-amal jaenge saqar ki taraf
Ghazal
Dekh mohan teri kamar ki taraf
Naji Shakir