dekh mazi ke darichon ko kabhi khola na kar
bhagte lamhon ke pichhe is tarah dauDa na kar
ai mere suraj mere sae ke derina rafiq
raste mein raushni ban kar bikhar jaya na kar
ye bhi mumkin hai tere diwar-o-dar tere na hon
ghar ke andar baiTh kar tu is tarah roya na kar
kah liya kar gahe gahe tu koi achchhi ghazal
mahfil-e-sher-o-suKHan se KHud ko yun tanha na kar
kah rahi hai mujh se mere ghar ki tariki 'faraaz'
raat ho jae to ghar se tu kahin jaya na kar
Ghazal
Dekh mazi ke darichon ko kabhi khola na kar
Saleem Faraz