dekh le jo aalam us ke husn-e-baala-dast ka
hausla itna kahan apni nigah-e-past ka
nist rahte hum to ye sairen kahan se dekhte
ye faqat ehsan hai us zat-e-pak-e-mast ka
be-sada aa kar laga aur ho gaya sine ke par
ye KHadang-e-saf tha kis be-nishan ki shast ka
baat kuchh kahta hai aur nikle hai munh se kuchh 'nazir'
ye nasha tujh ko hua kis ki nigah-e-mast ka
Ghazal
Dekh le jo aalam uske husn-e-baala-dast ka
Nazeer Akbarabadi