dekh laTka sajan teri laT ka
us ki har mu-ba-mu mein dil aTka
aab-e-tegh-e-nigah ke pyase kun
kam-nigahi ka mar mat phaTka
ghamza tera ajab sipahi hai
jis ki dahshat sun bul-hawas saTka
ishq ka zahr us sun kyun tere
nag tujh zulf ka jise chaTka
mustaid hain tere yu mardum-e-chashm
mujh ko abru ka marne saT ka
hosh 'daud' ka hua laT-paT
dekh kar teri naz ka laTka
Ghazal
Dekh laTka sajan teri laT ka
Daud Aurangabadi