dekh kya teri judai mein hai haalat meri
koi pahchan nahin sakta hai surat meri
main tere husn ka KHalwat mein tamashai hun
aaina sikh na jae kahin hairat meri
aap ne qatl kiya KHair gila mujh ko nahin
apne kuche mein to banwaiye turbat meri
KHatt-e-peshani mein saffak azal ke din se
teri talwar se likkhi hai shahadat meri
de ke ek bosa ajab naz se dilbar ne kaha
ai 'shabab' aaj ye tujh par hai inayat meri

Ghazal
Dekh kya teri judai mein hai haalat meri
Shabab