اردو हिंदी
Dekh ke arzan lahu surKHi-e-manzar KHamosh | Shaahi Shayari
dekh ke arzan lahu surKHi-e-manzar KHamosh

Ghazal

Dekh ke arzan lahu surKHi-e-manzar KHamosh

Aslam Mahmood

;

dekh ke arzan lahu surKHi-e-manzar KHamosh
bazi-e-jaan par meri tegh bhi shashdar KHamosh

aks mera muntashir aur ye aalam ki hai
ek ek aaina chup ek ek patthar KHamosh

tegh-e-nafas ko bahut naz tha raftar par
ho gai aaKHir mere KHun mein naha kar KHamosh

arsa-e-hairat mein gum aaina-KHane mere
KHema-e-mizhgan mein hain KHwab ke paikar KHamosh

KHauf se sab dam-ba-KHud fikr se chehre udas
mauj-e-hawa kyun hai chup kyun hai samundar KHamosh

koi alamat to ho koi nishan to mile
kyun hai lahu be-sada ho gae kyun sar KHamosh