اردو हिंदी
Dekh kar uThta hua shauq ka sar yani tu | Shaahi Shayari
dekh kar uThta hua shauq ka sar yani tu

Ghazal

Dekh kar uThta hua shauq ka sar yani tu

Nabeel Ahmad Nabeel

;

dekh kar uThta hua shauq ka sar yani tu
kaT Dalega mera dast-e-hunar yani to

meri taqdir mein likkhega andheron ka sukut
raund Dalega meri taza sahar yani to

bas yahi hai mere daman-e-safar mein ab to
meri manzil hai meri rahguzar yani tu

jab bhi aaega sawa neze pe KHurshid-e-ghazab
phulne-phalne nahin dega shajar yani tu

mujh ko malum hai ai dost uTha leta hai
mere hisse ke sabhi barg-o-samar yani tu

tere tewar ye batate hain ai jaane wale
lauT ke ab na kabhi aaega ghar yani tu

ye guzarish hai meri tujh se guzarish meri
meri nas nas mein utar tu hi utar yani tu

KHushbu-e-gul ki tarah rang-e-shafaq ki surat
dil ke aangan mein bikhar aur bikhar yani tu

nikhra nikhra sa hai ummid ka mausam yun bhi
shaKH-e-ummid pe kuchh aur sanwar aur sanwar yani tu

rah-e-ulfat mein mujhe teri qasam jaan-e-'nabil'
hai mere pesh-e-nazar pesh-e-nazar yani tu