dekh kar us ko mujhe dhachka laga
misl-e-dariya tha magar pyasa laga
nafraton ki dhund mein lipTa laga
aaine ka naqsh bhi jhuTa laga
saKHt-jaan the bach gae is bar bhi
zaKHm ab ke bhi hamein gahra laga
pure qad se istada jab hue
shahr ka har shaKHs phir bauna laga
kis ki chhanw saeban karte 'shafiq'
har shajar par KHauf ka saya laga

Ghazal
Dekh kar usko mujhe dhachka laga
Shafiq Saleemi