dekh kar us hasin paikar ko
nashsha sa aa gaya samundar ko
Dolti Dagmagati si naw
pi gai aa ke sare sagar ko
KHushk peDon mein jaan paDne lagi
dekh kar rup ke samundar ko
bahr pyase ki justuju mein hai
hai sadaf ki talash gauhar ko
koi to nim-wa darichon se
dekhe is rat-jage ke manzar ko
ek dewi hai muntazir 'farigh'
wa kiye paT sajae mandar ko
Ghazal
Dekh kar us hasin paikar ko
Farigh Bukhari