اردو हिंदी
Dekh kar ru-e-sanam ko na bahal jaunga | Shaahi Shayari
dekh kar ru-e-sanam ko na bahal jaunga

Ghazal

Dekh kar ru-e-sanam ko na bahal jaunga

Shad Lakhnavi

;

dekh kar ru-e-sanam ko na bahal jaunga
marte dam le ke sambhaala to sambhal jaunga

tan kafan-posh to ho aur hi pairahan mein
ujle kapDe mein badalte hi badal jaunga

chaman-e-dahr mein wo barg-e-KHizani hun main
gar na barbaad hua aag mein jal jaunga

hun wo sabit-qadam ai charKH jo bhaunchaal bhi aae
chahe Tal jae zamin main nahin Tal jaunga

main wo uftada-e-chashm-o-nazar-e-alam hun
panw pakDegi zamin bhi to phisal jaunga

saz-o-saman-e-tarab kuchh na agar hath aaya
jhanjh ho kar kaf-e-afsos hi mal jaunga

'shad' bahkun na kabhi nashsha-e-daulat ho hazar
kuchh main kam-zarf nahin hun jo ubal jaunga