اردو हिंदी
Dekh kar maqtal mein KHanjar us sitam-ijad ka | Shaahi Shayari
dekh kar maqtal mein KHanjar us sitam-ijad ka

Ghazal

Dekh kar maqtal mein KHanjar us sitam-ijad ka

Ashique Akbarabadi

;

dekh kar maqtal mein KHanjar us sitam-ijad ka
maut boli aaj mauqa hai mubarakbaad ka

ye taghaful wajh-e-taskin hai dil-e-nashad ka
bhul jaana bhi tumhaara ek sabab hai yaad ka

paikar-e-andaz kis ka khinchte khinchte rah gaya
aaj kyun utra hai chehra mani-o-bahzad ka

hum ko kuchh dozaKH se matlab hai na jannat se gharaz
hai baja lana muqaddam aap ke irshad ka

kis ke jazb-e-husn ne tasir sari chhin li
aaj kyun KHali hai gosha daman-e-fariyaad ka

ya-ilahi is dil-e-betab ki tamir mein
kis ne patthar rakh diya tha ishq ki buniyaad ka

minnaton par meri kahte hain wo kis andaz se
kyunki ho rishta pari-zadon se aadam-zad ka

dagh-e-dil hain ya koi gul-dasta-e-alam-fareb
hai dil-e-pur-dagh ya gulshan koi shaddad ka

uD gae hathon ke tote jab se bulbul ne suna
KHub tuti bolta hai in dinon sayyaad ka

un ke kuche mein mila ye phal mohabbat ka mujhe
nam 'ashiq' hai laqab hai KHanaman-barbaad ka