اردو हिंदी
Dekh kar mai munh mein pani shaiKH ke bhar aaega | Shaahi Shayari
dekh kar mai munh mein pani shaiKH ke bhar aaega

Ghazal

Dekh kar mai munh mein pani shaiKH ke bhar aaega

Kishan Kumaar Waqaar

;

dekh kar mai munh mein pani shaiKH ke bhar aaega
chiz achchhi dekhega muflis ka ji lalchaega

shoala bhaDka kar rahegi ye dabi aag ek din
gar wo ThanDi garmiyon se dil mera sulgaega

kakul-e-purpech se hasil hua ye mu-ba-mu
hath ko jo khinch lega panw ko phailaega

zabt-e-girya se hai nuqsan qasr-e-tan ke waste
baiTh hi jaega ghar pani agar mar jaega

chashm-e-baddur aankh aisi hai nashili yar ki
mohtasib ke munh mein pani dekh kar bhar aaega

ishwa chaalaki karishma naz ghamza yar ka
garche hai qahr-e-KHuda par dil ko mere bhaega

le chali gar wahshat-e-dil jaanib-e-sahra 'waqar'
ranj-o-hirman panw dar par yar ke phailaega