dekh kar kurte gale mein sabz dhani aap ki
dhan ke bhi khet ne ab aan mani aap ki
kya tajjub hai agar dekhe to murda ji uThe
chain nefa ki Dhalak peDu pe aani aap ki
hum to kya hain dil farishton ka bhi kafir chhin le
Tuk jhalak dikhla ke phir angiya chhupani aap ki
aa paDi do-sau baras ke murda-e-be-jaan mein jaan
jis ke upar do ghaDi ho mehrbani aap ki
ek lipaT kushti ki hum se bhi to kar dekho zara
han bhala hum bhi to jaanen pahlwani aap ki
chhalle ghairon pas hai wo KHatam-e-zar ai nigar
hai hamare pas bhi ab tak nishani aap ki
Ghazal
Dekh kar kurte gale mein sabz dhani aap ki
Nazeer Akbarabadi