dekh kar hum ko asir-e-arzu
aur bhi wo ho gae begana-KHu
phaD Dala dast-e-wahshat ne jise
phir karen kya is gareban ka rafu
phir sajao mahfil-e-dar-o-rasan
muztarib hai phir zaban-e-guftugu
gar ziyaada se ziyaada hon gunah
kam nahin hai aayat-e-la-taqnatu
mujh ko Dar lagta hai apne shahr mein
hain bahut unche yahan ke kaKH-o-ku
jab bhi rut aati hai patjhaD ki yahan
chus leti hai bahaaron ka lahu
rah ke 'najmi' ne pas-e-parda yahan
kar diya hai sab ko mahw-e-justuju
Ghazal
Dekh kar hum ko asir-e-arzu
Amjad Najmi