dekh kar dil ko pech-o-tab ke bich
aa paDa muft main azab ke bich
kaun rahta hai tere gham ke siwa
is dil-e-KHanuman-KHarab ke bich
tere aatish-zadon ne misl-sharar
umr kaTi hai iztirab ke bich
kya kahun tujh se ab ke main tujh ko
kis tarah dekhta hun KHwab ke bich
shama fanus mein na jab ke chhupe
kab chhupe hai ye munh naqab ke bich
Tuk tabassum ne ki shakar-rezi
bare ab talKHi-e-itab ke bich
kya kahe wo ki sab huwaida hai
shan teri teri kitab ke bich
hai ghulami 'asar' ko hazrat-e-'dard'
ba-dil-o-jaan teri janab ke bich
Ghazal
Dekh kar dil ko pech-o-tab ke bich
Meer Asar