dekh kar dil-kashi zamane ki
aarzu hai fareb khane ki
ai gham-e-zindagi na ho naraaz
mujh ko aadat hai muskurane ki
zulmaton se na Dar ki raste mein
raushni hai sharab-KHane ki
aa tere gesuon ko pyar karun
raat hai mishalen jalane ki
kis ne saghar 'adam' buland kiya
tham gain gardishen zamane ki

Ghazal
Dekh kar dil-kashi zamane ki
Abdul Hamid Adam