dekh in aankhon se kya jal-thal kar rakkha hai
gham si aag ko hum ne baadal kar rakkha hai
jis ne rah ke peDon ki sab shaKHen kaTin
sab ne usi ke sar par aanchal kar rakkha hai
koi pahaD hai apni zat ke andar jis ne
KHud hum se bhi hum ko ojhal kar rakkha hai
patthar le kar sara shahr hai us ke pichhe
ek pagal ne sab ko pagal kar rakkha hai
us ne KHali dasht basane ki koshish mein
bhare-pure shahron ko jangal kar rakkha hai
teri hasti ek furaat sahi par tu ne
mere to aangan ko karbal kar rakkha hai
tere jalal ke munkir to chand ek hain lekin
tere azab ne sab ko be-kal kar rakkha hai
ab 'shahzad' zamane se kya lena-dena
hum ne bab-e-dard mukammal kar rakkha hai
Ghazal
Dekh in aankhon se kya jal-thal kar rakkha hai
Shahzad Qamar