اردو हिंदी
Dekh hamare mathe par ye dasht-e-talab ki dhul miyan | Shaahi Shayari
dekh hamare mathe par ye dasht-e-talab ki dhul miyan

Ghazal

Dekh hamare mathe par ye dasht-e-talab ki dhul miyan

Ibn e Insha

;

dekh hamare mathe par ye dasht-e-talab ki dhul miyan
hum se ajab tera dard ka nata dekh hamein mat bhul miyan

ahl-e-wafa se baat na karna hoga tera usul miyan
hum kyun chhoDen un galiyon ke pheron ka mamul miyan

yunhi to nahin dasht mein pahunche yunhi to nahin jog liya
basti basti kanTe dekhe jangal jangal phul miyan

ye to kaho kabhi ishq kiya hai jag mein hue ho ruswa bhi?
is ke siwa hum kuchh bhi na puchhen baqi baat fuzul miyan

nasb karen mehrab-e-tamanna dida o dil ko farsh karen
sunte hain wo ku-e-wafa mein aaj karenge nuzul miyan

sun to liya kisi nar ki KHatir kaTa koh nikali nahr
ek zara se qisse ko ab dete kyun ho tul miyan

khelne den unhen ishq ki bazi khelenge to sikhenge
'qais' ki ya 'farhad' ki KHatir kholen kya school miyan

ab to hamein manzur hai ye bhi shahr se niklin ruswa hun
tujh ko dekha baaten kar lin mehnat hui wasul miyan

'insha' ji kya uzr hai tum ko naqd-e-dil-o-jaan nazr karo
rup-nagar ke nake par ye lagta hai mahsul miyan