اردو हिंदी
Dekh dil ko mere o kafir-e-be-pir na toD | Shaahi Shayari
dekh dil ko mere o kafir-e-be-pir na toD

Ghazal

Dekh dil ko mere o kafir-e-be-pir na toD

Bahadur Shah Zafar

;

dekh dil ko mere o kafir-e-be-pir na toD
ghar hai allah ka ye is ki to tamir na toD

ghul sada wadi-e-wahshat mein rakhunga barpa
ai junun dekh mere panw ki zanjir na toD

dekh Tuk ghaur se aaina-e-dil ko mere
is mein aata hai nazar aalam-e-taswir na toD

taj-e-zar ke liye kyun shama ka sar kaTe hai
rishta-e-ulfat-e-parwana ko gul-gir na toD

apne bismil se ye kahta tha dam-e-naza wo shoKH
tha jo kuchh ahd so o aashiq-e-dil-gir na toD

raqs-e-bismil ka tamasha mujhe dikhla koi dam
dast o pa mar ke dam tu tah-e-shamshir na toD

saham kar ai 'zafar' us shoKH kaman-dar se kah
khinch kar dekh mere sine se tu tir na toD