dekh dariya hai kinare ko sambhaal
ye mohabbat ye mohabbat ka zawal
is zamane ko taras jaenge hum
aah ye tishnagi-e-hijr-o-visal
miThi baaton se ada jagti hai
naram aankhon mein sanwarte hain KHayal
zaKHm bigDe to badan kaT ke phenk
warna kanTa bhi mohabbat se nikal
aap ki yaad bhi aa jati hai
itni mahrum nahin bazm-e-KHayal
KHat jo aaya hai unhin ka hoga
han zara aaj tabiat thi bahaal
hae phir fasl-e-bahaar aai 'KHizan'
kabhi marna kabhi jina hai muhaal
Ghazal
Dekh dariya hai kinare ko sambhaal
Mahboob Khizan