dekh bhaal kar sambhal sambhal kar aate hain
hum tak chehre umr badal kar aate hain
jame hain jo chehre aankhon ki koron pe
aao un ko git ghazal kar aate hain
jab kirnen pani pe dastak deti hain
lahron pe girdab uchhal kar aate hain
tum jaise hum lagne lagenge Thahro to
hum bhi apna KHun badal kar aate hain
gulshan se mujh tak aane mein hawa ke hath
jaane kitne phul masal kar aate hain
'fani' jaise kuchh chehre bazaron mein
apni ana har rose nigal kar aate hain
Ghazal
Dekh bhaal kar sambhal sambhal kar aate hain
Fani Jodhpuri