اردو हिंदी
Dekh aqd-e-surayya hamein angur ki sujhi | Shaahi Shayari
dekh aqd-e-surayya hamein angur ki sujhi

Ghazal

Dekh aqd-e-surayya hamein angur ki sujhi

Nazeer Akbarabadi

;

dekh aqd-e-surayya hamein angur ki sujhi
kyun baada-kashan hum ko bhi kya dur ki sujhi

ghash kha ke gira pahle hi shoale ki jhalak se
musa ko bhala kahiye to kya tur ki sujhi

hum ne to use dekh ye jaana ki pari hai
pariyon ne jo dekha to unhen hur ki sujhi

dekha jo nahane mein wo gora badan us ka
billor ki chauki pe jhalak nur ki sujhi

sar panw se jab phans gae us zulf-e-siyah mein
jab hum ko syahi-e-shab-e-dijur ki sujhi

jannat ke liye shaiKH jo karta hai ibaadat
ki ghaur jo KHatir mein to mazdur ki sujhi

masnua mein sanea nazar aawe to 'nazir' aah
nazdik ki phir kya hai jahan dur ki sujhi