اردو हिंदी
Dekh apne qarar karne ko | Shaahi Shayari
dekh apne qarar karne ko

Ghazal

Dekh apne qarar karne ko

Nizam Rampuri

;

dekh apne qarar karne ko
aur mere intizar karne ko

tumhein dekhe se kya tasalli ho
ji to hota hai pyar karne ko

meri tadbir ek nahin karta
hain nasihat hazar karne ko

wo wo sadme sahe shab-e-gham mein
chahiye din shumar karne ko

wo gar aaen to pas kya hai aur
ek jaan hai nisar karne ko

jhuTe wade kiya na kije aap
muft ummid-war karne ko

aap hain ruThne hi ko aur hum
minnaten bar bar karne ko

apni ayyariyon ko dekhen aap
aur mere e'tibar karne ko

dil bhi tera sa chahiye hai 'nizam'
ishq ke iKHtiyar karne ko