dekh ab apne hayule ko fana hote hue
tu ne bandon se laDai ki KHuda hote hue
faisla hona hai jo kuchh aaj hona chahiye
muddaten lag jaengi mahshar bapa hote hue
sochta rahta hun kab badlegi gulshan ki hawa
dekhta rahta hun lamhon ko hawa hote hue
hai bala ab kaun si baqi jo mujh par aaegi
main kisi se kyun Darun be-dast-o-pa hote hue
dekhte rahte ho sab kuchh bolte kuchh bhi nahin
kis qadar bedard ho dard-ashna hote hue
zard chehra surKH aankhen kanpte be-sabr honT
ye sabhi kuchh aur dil-e-be-muddaa hote hue
shadman hun apni sab majburiyon ke bawajud
mutmain hun ruh ke andar KHala hote hue
jin ko tu dhutkarta hai wo bhi tere sae hain
tu ne itna bhi nahin socha KHafa hote hue
aaj ki tabindagi se kal ka andaza na kar
dekh patton ko daraKHton se juda hote hue
muntazir hun kaun aata hai koi wahshi ki chor
sun raha hun phir se darwaze ko wa hote hue
Ghazal
Dekh ab apne hayule ko fana hote hue
Shahzad Ahmad