de sakega na tumhein phir koi aawaz kahin
meri hasti ka agar TuT gaya saz kahin
ishq mahkum sahi bekas-o-majbur sahi
husn tanha bhi hua hai asar-andaz kahin
gham-e-na-qadri-e-duniya to nahin hai lekin
nigah-e-dost na kar de nazar-andaz kahin
KHami-e-zauq-e-talab ne hamein rakkha mahrum
ye ghalat hai na suni ho teri aawaz kahin
bahr-e-hasti mein jo ubhra to ubhaara tu ne
main hua aap na ai dost sar-afraaz kahin
rang mahaul-e-chaman se ye huwaida hai 'saghir'
kaam aaegi meri jurat-e-parwaz kahin
Ghazal
De sakega na tumhein phir koi aawaz kahin
Saghir Ahmad Saghir Ahsani