de rahe hain jis ko topon ki salami aadmi
kya kahun tum se ki hai kitna harami aadmi
bhiD chhaT jaegi tab us ki samajh mein aaega
ek akela aadmi hai azdahami aadmi
kya dikhate ho miyan, parcha hamein aKHbar ka
hum ne dekhe hain bahut nami girami aadmi
panw mein juta nahin hai, peT mein roTi nahin
le ke kya chaTega KHali nek-nami aadmi
uTh ke ja baiTha wahi ashrafiya ki god mein
hum gharibon ne jise samjha awami aadmi
qais sahab kis liye bhaTkenge najd-e-shauq mein
mil hi jaega koi hum sa maqami aadmi
dil ki hai shiraaza-e-hasti hawa ki zad pe hai
aadmi ai aadmi ai intizami aadmi
Ghazal
De rahe hain jis ko topon ki salami aadmi
Aftab Hussain