de KHuda wusat to sab ke kaam aana chahiye
dil mein dushman ke bhi ghar apna banana chahiye
aap ke dil mein jagah mere liye kya sach hai ye
allah allah is se behtar kya Thikana hai
gar kabhi nafrat ki koi lahr uThe qalb se
jis tarah ho us ko to qabu mein lana chahiye
banTte hi chahiye rahna mohabbat ke gulab
dil ke gulshan ko kaha kis ne sajaana chahiye
anjuman koi ho aur daman kisi ka bhi ho wo
KHushbuon mein sab ke daman ko basana chahiye
raaz-e-dil ifsha na ho 'hassan' hai behtar yahi
haal-e-dil khul kar kabhi lab par na lana chahiye

Ghazal
De KHuda wusat to sab ke kaam aana chahiye
Mohammad Hazim Hassan