de gaya dard-e-be-talab koi
mera hamdard tha ajab koi
kaun nikla hai apni uljhan se
aur ko pa saka hai kab koi
ye ujala ye din kahan hun main
mujh se kuchh kah raha tha shab koi
ab jo ruThe to jaan pe banti hai
KHush hua mujh se be-sabab koi
meri manzil mujhe nahin malum
subh koi hai aur shab koi
maut aur aarzu ki maut 'ziya'
han bahut mutmain hai ab koi
Ghazal
De gaya dard-e-be-talab koi
Zia Jalandhari