de gaya aaKHiri sada koi
faslon par bikhar gaya koi
raat ka dard banTne ke liye
raat-bhar jagta raha koi
ek sae ki tarah be-awaz
mere dar par khaDa raha koi
aasman se pare bhi kuchh hoga
umr-bhar sochta raha koi
sukh jaane de TuT jaane de
le uDegi mujhe hawa koi
ya bana de pahaD ka patthar
ya mujhe rasta dikha koi
toD kar jism ke dar-o-diwar
aaine mein utar gaya koi
Ghazal
De gaya aaKHiri sada koi
Abid Almi